ye ham ne maanā ki hogā visāl-e-yār nasīb
dil-e-hazīñ ko magar hai kahāñ qarār nasīb
ye apnā apnā muqaddar hai aur kyā kahiye
ḳhizāñ nasīb koī hai koī bahār nasīb
koī to ek nazar ke liye tarastā hai
kisī ko hotā hai dīdār baar baar nasīb
na aarzū tirī karte na aabrū khote
ḳhud apne dil pe agar hotā iḳhtiyār nasīb
sunā to hai terā dīdār ek din hogā
isī ummīd pe baiThe haiñ intizār nasīb
samajh sakegā vo kyā mere dil kī betābī
huā na jis ko kabhī soz-e-ishq yaar nasīb
jahāñ meñ aur bhī 'āsī' alam ke maare haiñ
yahāñ pe tū hī nahīñ ek sogvār-nasīb