dāġh-hā-e-dil kī tābānī ga.ī
un ke jalvoñ kī farāvānī ga.ī
āshnā nā-āshnā se ho ga.e
apnī sūrat bhī na pahchānī ga.ī
ek dil meñ saikḌoñ ġham kā hujūm
phir bhī us ghar kī na vīrānī ga.ī
ab kahāñ vo jazba-e-mahr-o-vafā
aadmī se ḳhū-e-insānī ga.ī
ā.īne meñ vaqt ke ai ham-nafas
dostoñ kī shakl pahchānī ga.ī
rah ga.e hosh-o-ḳhirad ke falsafe
justujū tā-hadd-e-imkānī ga.ī
'mīr'-o-'ġhālib' 'vahshat'-o-'dāġh'-o-'jigar'
kyā ga.e 'āsī' ġhazal-ḳhvānī ga.ī