Afzal Allahabadi

sulagti ret pe tahrir jo kahani hai

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
sulagtī ret pe tahrīr jo kahānī hai
mire junūñ kī ik anmol vo nishānī hai
maiñ apne aap ko tanhā samajh rahā thā magar
sunā hai tum ne bhī sahrā kī ḳhaak chhānī hai
ġhamoñ kī dhuup meñ rahnā hai sā.ebāñ kī tarah
ḳhayāl-e-gesū-e-jānāñ kī mehrbānī hai
kabhī udhar se jo guzregā kārvāñ apnā
to ham bhī dekheñge dariyā meñ kitnā paanī hai
maiñ ab bhī shaan se zinda huuñ shahr-e-qātil meñ
mire ḳhudā kī yaqīnan ye mehrbānī hai
burā na maano to maiñ saaf saaf ye kah duuñ
tumhāre pyaar kā da.avā faqat zabānī hai
añdherā rahtā na baaqī kahīñ magar 'afzal'
kab āñdhiyoñ ne charāġhoñ kī baat maanī hai
Top Urdushayar.com