Afzal Allahabadi

luTa raha hun main lal-o-gohar andhere mein

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
luTā rahā huuñ maiñ la.al-o-gohar añdhere meñ
talāsh kartī hai kis ko nazar añdhere meñ
vo jis kī raah meñ maiñ ne diye jalā.e the
gayā vo shaḳhs mujhe chhoḌ kar añdhere meñ
charāġh kaun uThā le gayā mire ghar se
sisak rahe haiñ mire bām-o-dar añdhere meñ
thā tīrgī ke janāze pe ek hashr bapā
jo us ke aane se phailī ḳhabar añdhere meñ
koī hathelī pe phirtā hai āftāb liye
bhaTak rahā hai koī dar-ba-dar añdhere meñ
meñ koh-e-nūr huuñ nādāñ tujhe ḳhabar bhī nahīñ
mujhe chhupāne kī koshish na kar añdhere meñ
musāfiroñ ko vo rāheñ dikhā.egā 'afzal'
charāġh rakh do sar-e-rahguzar añdhere meñ
Top Urdushayar.com