Saqib Lakhnavi

husn ki wo suraten KHwab-e-pareshan ho gain

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
husn kī vo sūrateñ ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
parda-e-dil meñ lagā kar aag pinhāñ ho ga.iiñ
miT ke bhī ā.īna-e-ruḳhsār-e-ḳhūbāñ ho ga.iiñ
ḳhūn-e-ahl-e-ishq kī būñdeñ gulistāñ ho ga.iiñ
chhup ga.iiñ āñkhoñ se zarroñ meñ numāyāñ ho ga.iiñ
bastiyāñ ujḌī huī mil kar bayābāñ ho ga.iiñ
dekhtā kaun aur bujhātā kaun us dil kī lagī
haDDiyāñ jal jal ke sham-e-zer-e-dāmāñ ho ga.iiñ
zindagī meñ kyā mujhe miltī balāoñ se najāt
jo duā.eñ kiiñ vo sab terī nigahbāñ ho ga.iiñ
is havā-e-dahr meñ jam.īyat-e-ḳhātir kahāñ
dil ko jaane do ye zulfeñ kyuuñ pareshāñ ho ga.iiñ
zo.af baaqī hai koī jis kā nahīñ pursān-e-hāl
quvvateñ sab nazr-e-ishq-e-fitna-sāmāñ ho ga.iiñ
luuT lī gardūñ ne āḳhir dil kī saarī kā.enāt
kuchh tamannā.eñ thiiñ vo bhī vaqf-e-nisyāñ ho ga.iiñ
dost-dār-e-gul huuñ maiñ kis ne qafas se kah diyā
mujh ko pā kar tīliyāñ ḳhār-e-muġhīlāñ ho ga.iiñ
kam na samjho dahr meñ sarmāya-e-arbāb-e-ġham
chaar būñdeñ āñsuoñ kī baḌh ke tūfāñ ho ga.iiñ
ārzū-e-ālam-e-fānī thā aadam kā vajūd
ḳhvāhisheñ thiiñ jo baham ghul-mil ke insāñ ho ga.iiñ
ḳhānumāñ-barbādiyoñ kā mujh pe ehsāñ hai ki maiñ
un zamīnoñ meñ nahīñ jo bas ke vīrāñ ho ga.iiñ
merī āñkheñ shor thā jin kī vafā kā har taraf
zaḳhm dil meñ paḌte hī donoñ namak-dāñ ho ga.iiñ
uqda-hā-e-ġham se vābasta hai apnī zindagī
ham kahāñ ye mushkileñ jis vaqt āsāñ ho ga.iiñ
maiñ nisār-e-dast-e-qātil mar ke zinda ho gayā
ḳhanjar-o-shamshīr kī dhāreñ rag-e-jāñ ho ga.iiñ
ik sarāb-e-dasht thiiñ fasleñ shabāb-e-husn kī
dekhte hī dekhte āñkhoñ se pinhāñ ho ga.iiñ
kyā vafādāroñ ke jī Duube haiñ josh-e-ishq meñ
kashtiyāñ dil kī hazāroñ nazr-e-tūfāñ tūfāñ ga.iiñ
majma-e-ahbāb kī rūdād 'sāqib' kyā kahūñ
ab vo aglī sohbateñ ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com