Afzal Allahabadi

ab to har ek adakar se Dar lagta hai

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
ab to har ek adākār se Dar lagtā hai
mujh ko dushman se nahīñ yaar se Dar lagtā hai
kaise dushman ke muqābil vo Thahar pā.egā
jis ko TuuTī huī talvār se Dar lagtā hai
vo jo pāzeb kī jhankār kā shaidā.ī ho
us ko talvār kī jhankār se Dar lagtā hai
mujh ko bāloñ kī safedī ne ḳhabar-dār kiyā
zindagī ab tirī raftār se Dar lagtā hai
kar deñ maslūb unheñ laakh zamāne vaale
haq-parastoñ ko kahāñ daar se Dar lagtā hai
vo kisī tarah bhī tairāk nahīñ ho saktā
duur se hī jise mañjdhār se Dar lagtā hai
mere āñgan meñ hai vahshat kā baserā 'afzal'
mujh ko ghar ke dar-o-dīvār se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com