ashk āñkhoñ meñ liye āThoñ pahar dekhegā kaun
ham nahīñ hoñge to terī rahguzar dekhegā kaun
sham.a bhī bujh jā.egī parvāna bhī jal jā.egā
raat ke donoñ musāfir haiñ shajar dekhegā kaun
sone aur chāñdī ke bartan kī numā.ish hai yahāñ
maiñ huuñ kūza-gar mirā dast-e-hunar dekhegā kaun
jis qadar Duubā huā huuñ ḳhud maiñ apne ḳhuun meñ
ḳhud ko apne ḳhuun meñ yuuñ tar-ba-tar dekhegā kaun
har taraf maqtal meñ hai chhā.ī huī vīrāniyāñ
neza-e-bātil pe āḳhir merā sar dekhegā kaun
mere zāhir par nigāheñ sab kī haiñ 'afzal' magar
mere andar jo chhupā hai vo guhar dekhegā kaun