mirī dīvāngī kī had na pūchho tum kahāñ tak hai
zamīñ par huuñ magar merī rasā.ī lā-makāñ tak hai
tirā jalva to aise aam hai saare zamāne meñ
vahīñ tak dekh saktā hai nazar jis kī jahāñ tak hai
kisī ko kyā ḳhabar ehsās hai lekin mire dil ko
ki us ke pyaar kī barsāt mere dasht-e-jāñ tak hai
zarā barq-e-sitam se pūchh letā kaash koī ye
tire qahr-o-ġhazab kā silsila āḳhir kahāñ tak hai
hamīñ chubhte haiñ kyuuñ kāñToñ kī sūrat aañkh meñ terī
fasādī kā nishāna kyuuñ hamāre hī makāñ tak hai
tavajjoh ḳhaak ke zarroñ kī jānib kyuuñ kareñ 'afzal'
nazar apnī mah-o-parvīn tak hai kahkashāñ tak hai