ye haqīqat hai vo kamzor huā kartī haiñ
apnī taqdīr kā qaumeñ jo gila kartī haiñ
ret par jab bhī banātā hai gharauñdā koī
sar-phirī maujeñ use dekh liyā kartī haiñ
maiñ gulistāñ kī hifāzat kī duā kartā huuñ
bijliyāñ mere nasheman pe girā kartī haiñ
jaane kyā vasf nazar aatā hai mujh meñ un ko
titliyāñ mere ta.āqub meñ rahā kartī haiñ
terī dahlīz se nisbat jise ho jaatī hai
azmateñ us ke muqaddar meñ huā kartī haiñ
kyuuñ na gul-būToñ ke chehroñ pe nikhār aa jaa.e
ye havā.eñ jo tirā zikr kiyā kartī haiñ
apnī nazroñ meñ jo rakhtā hai tire naqsh-e-qadam
manzileñ us ke ta.āqub meñ rahā kartī haiñ
chain kī niiñd mujhe aa.e to kaise aa.e
merī āñkheñ jo tirā ḳhvāb bunā kartī haiñ
us kī rahmat ke diye jo bhī haiñ raushan 'afzal'
āñdhiyāñ un kī hifāzat meñ rahā kartī haiñ