tum hamāre ho ham tumhāre haiñ
jaise dariyā ke do kināre haiñ
rūThe rūThe se sab nazāre haiñ
ik hamīñ haiñ jo ġham ke maare haiñ
vo milāte nahīñ nazar ham se
aur kahte haiñ ham tumhāre haiñ
hausla hai hamāre dil meñ abhī
ham kahāñ zindagī se haare haiñ
kyā batā.eñ ki terī furqat meñ
kis tarah ham ne din guzāre haiñ
us ko merī kamī satā.e kyuuñ
jis ke dāman meñ chāñd taare haiñ
ham ko 'afzal' hai aasrā us kā
kaise kah deñ ki be-sahāre haiñ