Afzal Allahabadi

dawa-e-dard-e-gham-o-iztirab kya deta

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
davā-e-dard-e-ġham-o-iztirāb kyā detā
vo merī āñkhoñ ko rañgīn ḳhvāb kyā detā
thī merī āñkhoñ kī qismat meñ tishnagī likkhī
vo apnī diid kī mujh ko sharāb kyā detā
kiyā savāl jo maiñ ne vafā ke qātil se
zabāñ pe qufl lagā thā javāb kyā detā
maiñ chāhtā thā ki us ko gulāb pesh karūñ
vo ḳhud gulāb thā us ko gulāb kyā detā
vo jis ne dekhā nahīñ ishq kā kabhī maktab
maiñ us ke haath meñ dil kī kitāb kyā detā
mire nasīb meñ miTTī kā ik diyā bhī na thā
tirī hathelī pe maiñ āftāb kyā detā
maiñ us se pyaas kā shikva na kar sakā 'afzal'
jo ḳhud hī tishna thā vo mujh ko aab kyā detā
Top Urdushayar.com