bulandī se kabhī vo āshnā.ī kar nahīñ saktā
jo tere āstāne kī gadā.ī kar nahīñ saktā
zabāñ rakhte hue bhī lab-kushā.ī kar nahīñ saktā
koī qatra samundar se laḌā.ī kar nahīñ saktā
tū jugnū hai faqat rātoñ ke dāman meñ baserā kar
maiñ sūraj huuñ tū mujh se āshnā.ī kar nahīñ saktā
ḳhudī kī daulat-e-uzmā ḳhudā ne mujh ko baḳhshī hai
qalandar huuñ maiñ shāhoñ kī gadā.ī kar nahīñ saktā
sifat fir.aun kī tujh meñ hai maiñ muusā kā haamī huuñ
kabhī taslīm maiñ terī ḳhudā.ī kar nahīñ saktā
jo zindāñ meñ aziyyat par aziyyat mujh ko detā hai
maiñ us zālim se ummīd-e-rihā.ī kar nahīñ saktā
jo kamtar hai baḌā.ī apnī apne muñh se kartā hai
magar 'afzal' kabhī apnī baḌā.ī kar nahīñ saktā