har naġhma-e-pur-dard har ik saaz se pahle
hañgāma bapā hotā hai āġhāz se pahle
dil dard-e-mohabbat se to vāqif bhī nahīñ thā
jānāñ tire baḳhshe hue e.azāz se pahle
sho.aloñ pe chalātī hai mohabbat dil-e-nādāñ
anjām zarā soch le āġhāz se pahle
ab merī tabāhī kā use ġham bhī nahīñ hai
jis ne mujhe chāhā thā baḌe naaz se pahle
shāhīn vo kahlāne kā haqdār nahīñ hai
jo sū-e-falak dekhe na parvāz se pahle
ab raaz kī bāteñ na batā de vo kisī se
ye ḳhauf nahīñ thā kabhī hamrāz se pahle
thī mīr-taqī-'mīr' kī nauhagarī mash.hūr
'afzal' kī sisaktī huī āvāz se pahle