Afzal Allahabadi

ye bata de mujhko mere dil kise aawaz dun

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
ye batā de mujh ko mere dil kise āvāz duuñ
ḳhud masīhā hai mirā qātil kise āvāz duuñ
jitne saaqī the mire sab nazr-e-tūfāñ ho ga.e
aur kosoñ duur hai sāhil kise āvāz duuñ
le gayā vo saath apne gulshan-e-dil kī bahār
suunī suunī hai mirī mahfil kise āvāz duuñ
haal merā ḳhanjar-e-māzī se zaḳhmī ho gayā
ro rahā hai merā mustaqbil kise āvāz duuñ
vo chalātā hai ajab andāz se tīr-e-nazar
aur meñ ho jaatā huuñ bismil kise āvāz duuñ
kaun hai mushkil-kushā merā qabā tere sivā
jab paḌe mujh par koī mushkil kise āvāz duuñ
jaañ nichhāvar kar rahā thā mujh pe jo 'afzal' kabhī
dushmanoñ meñ vo bhī hai shāmil kise āvāz duuñ
Top Urdushayar.com