Afzal Allahabadi

yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
yādoñ ke nasheman ko jalāyā to nahīñ hai
ham ne tujhe is dil se bhulāyā to nahīñ hai
kaunain kī vus.at bhī simaT jaatī hai jis meñ
ai dil kahīñ tujh meñ vo samāyā to nahīñ hai
har shai se vo zāhir hai ye ehsān hai us kā
ḳhud ko mirī nazroñ se chhupāyā to nahīñ hai
zulfoñ kī syāhī meñ ajab husn-e-nihāñ hai
ye raat usī husn kā saayā to nahīñ hai
vāqif haiñ tire dard se ai naġhma-e-ulfat
ham ne tujhe har saaz pe gaayā to nahīñ hai
us ne jo likhā thā kabhī sāhil kī jabīñ par
us naam ko maujoñ ne miTāyā to nahīñ hai
vo shahar kī is bhiiḌ meñ aatā nahīñ 'afzal'
phir bhī chalo dekheñ kahīñ aayā to nahīñ hai
Top Urdushayar.com