Afzal Allahabadi

yun ilaj-e-dil bimar kiya jaega

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984
yuuñ ilāj-e-dil bīmār kiyā jā.egā
sharbat-e-dīd se sarshār kiyā jā.egā
hasrat-e-dīd meñ bīnā.ī gañvā baiThe jo
is se kaise tirā dīdār kiyā jā.egā
so rahā huuñ maiñ zamāne se tirā ḳhvāb liye
niiñd se kab mujhe bedār kiyā jā.egā
TuuT jā.egā bharam pariyoñ kī shahzādī kā
jab tire husn ko shahkār kiyā jā.egā
ḳhud-kushī kī ḳhabar aḳhbār kī surḳhī hogī
qatl mujh ko pas-e-dīvār kiyā jā.egā
maiñ sadāqat huuñ mujhe maut nahīñ aa.egī
vaise maslūb ka.ī baar kiyā jā.egā
in charāġhoñ ke tabassum meñ lahū hai merā
kab havāoñ ko ḳhabar-dār kiyā jā.egā
dil ke jazbāt javāñ aur bhī ho jā.eñge
merī rāhoñ ko jo dushvār kiyā jā.egā
hoñge sharminda manādir ke kalas bhī 'afzal'
kisī masjid ko jo mismār kiyā jā.egā
Top Urdushayar.com