Sahir Shevi

jo tere pahlu mein guzri zindagi achchhi lagi

Sahir Shevi

Ratnagiri, Maharashtra, India

1936
jo tire pahlū meñ guzrī zindagī achchhī lagī
ġham tirā achchhā lagā terī ḳhushī achchhī lagī
yaas ke mausam meñ us kī dil-lagī achchhī lagī
aañkh nam ho kar bhī hoñToñ par hañsī achchhī lagī
dukh bhī us kī raah meñ haiñ sukh bhī us kī raah meñ
maut se har aadmī ko zindagī achchhī lagī
hādse par hādse hī ho rahe haiñ kyā ḳhabar
āsmāñ vaale ko merī bebasī achchhī lagī
ho ga.e gumrāh vo aa kar tumhāre shahr meñ
sab ko us tahzīb-e-nau kī raushnī achchhī lagī
ḳhvāb kī vaadī meñ tanhā phir rahā huuñ roz-o-shab
dostī achchhī na mujh ko rahbarī achchhī lagī
jāgtī āñkhoñ se sāhir dekhtā huuñ dahr ko
gulistāñ meñ khilne vaalī har kalī achchhī lagī
Top Urdushayar.com