Sahir Shevi

gham-e-hayat ki pahnaiyon se KHauf-zada

Sahir Shevi

Ratnagiri, Maharashtra, India

1936
ġham-e-hayāt kī pahnā.iyoñ se ḳhauf-zada
maiñ umr bhar rahā nākāmiyoñ se ḳhauf-zada
jahāñ bhī dekho ta.assub kī chal rahī hai havā
hamārā shahr hai balvā.i.oñ se ḳhauf-zada
kabhī kisī kā burā hī nahīñ kiyā phir bhī
zamāna hai mirī ḳhush-hāliyoñ se ḳhauf-zada
karam tumhārā koī be-ġharaz nahīñ hotā
hai dil tumhārī mehrbāniyoñ se ḳhauf-zada
ilāhī tujh ko ḳhabar hai ki ye tirā 'sāhir'
hai kitnā apnī pareshāniyoñ se ḳhauf-zada
Top Urdushayar.com