Sahir Shevi

fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi

Sahir Shevi

Ratnagiri, Maharashtra, India

1936
fikr-e-zar meñ bilaktā huā aadmī
ab kahāñ rah gayā kaam kā aadmī
zindagī bhī haqīqat meñ ik jurm hai
umr bhar kāTtā hai sazā aadmī
kaun apnā.e maazī kī parchhā.iyāñ
kaun paidā kare ab nayā aadmī
ḳhūb-sūrat sī is par kahānī likho
gaañv kī goriyāñ shahr kā aadmī
the bahut log mahfil meñ baiThe hue
un meñ mushkil se ik mil gayā aadmī
ye kamāl-e-ḳhudī hī kahā jā.egā
ḳhud hī duniyā banāne lagā aadmī
tum bhī 'sāhir' zarā is se bach kar raho
gaañv se hai alag shahr kā aadmī
Top Urdushayar.com