gulshan ko bahāroñ ne is tarah navāzā hai
har shāḳh ke kāñdhe par kaliyoñ kā janāza hai
kis tarah bhulā.eñ ham is shahr ke hañgāme
har dard abhī baaqī hai har zaḳhm abhī taaza hai
mastī bhī umīdeñ bhī hasrat bhī udāsī bhī
mujh ko tirī āñkhoñ ne har tarah navāzā hai
miTTī kī tarah ik din uḌ jā.egā rāhoñ se
sab shor machāte haiñ jab tak lahū taazā hai
ye raakh makānoñ kī zaayā na karo 'sāġhar'
ye ahl-e-siyāsat ke ruḳhsār kā ġhāza hai