Saghar Azmi

raat ke andheron ko raushni wo kya dega

Saghar Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1944-2004
raat ke añdheroñ ko raushnī vo kyā degā
ik diyā jalā.egā sau diye bujhā degā
muddateñ huī mujh se ghar chhuḌā diyā merā
kyā zamāna ab terā saath bhī chhuḌā degā
sab ke naqlī chehre haiñ sab kā ek aalam hai
koī is zamāne meñ kis ko aa.inā degā
maiñ abhī to mujrim huuñ aap apnā qātil huuñ
kaañp uThegā munsif bhī jab mujhe sazā degā
jo diyā ta.assub kā tum jalā ke aa.e ho
sub.h tak na jaane vo kitne ghar jalā degā
jāntā huuñ maiñ us kī sādgī-o-māsūmī
vo mirā kabūtar bhī haath se uḌā degā
us ke paas motī haiñ mere paas aañsū haiñ
maiñ abhī se kyā kah duuñ kaun kis ko kyā degā
us se ab jo pūchhūñgā us kā haal ai 'sāġhar'
koī sher merā hī vo mujhe sunā degā
Top Urdushayar.com