phūloñ se badan un ke kāñTe haiñ zabānoñ meñ
shīshe ke haiñ darvāze patthar kī dukānoñ meñ
kashmīr kī vaadī meñ be-parda jo nikle ho
kyā aag lagāoge barfīlī chaTānoñ meñ
bas ek hī Thokar se gir jā.eñgī dīvāreñ
āhista zarā chaliye shīshe ke makānoñ meñ
allāh-re majbūrī bikne ke liye ab bhī
sāmān-e-tabassum hai ashkoñ kī dukānoñ meñ
aane ko hai phir shāyad tūfān nayā koī
sahme hue baiThe haiñ log apne makānoñ meñ
shohrat kī fazāoñ meñ itnā na uḌo 'sāġhar'
parvāz na kho jaa.e in ūñchī uḌānoñ meñ