dhuup meñ ġham kī mire saath jo aayā hogā
vo koī aur nahīñ merā hī saayā hogā
ye jo dīvār pe kuchh naqsh haiñ dhundle dhundle
us ne likh likh ke mirā naam miTāyā hogā
jin ke hoñToñ pe tabassum hai magar aañkh hai nam
us ne ġham apnā zamāne se chhupāyā hogā
be-ta.alluq sī fazā hogī rah-e-ġhurbat meñ
koī apnā hī milegā na parāyā hogā
itnā nārāz ho kyuuñ us ne jo patthar pheñkā
us ke hāthoñ se kabhī phuul bhī aayā hogā
merī hī tarah mire sher haiñ rusvā 'sāġhar'
kis ko is tarah mohabbat ne sunāyā hogā