pyaas sadiyoñ kī hai lamhoñ meñ bujhānā chāhe
ik zamāna tirī āñkhoñ meñ samānā chāhe
aisī lahroñ meñ nadī paar kī hasrat kis ko
ab to jo aa.e yahāñ Duub hī jaanā chāhe
aaj bikne sar-e-bāzār maiñ ḳhud aayā huuñ
kyuuñ mujhe koī ḳharīdār banānā chāhe
mujh meñ aur tujh meñ hai ye farq to ab bhī qaa.im
tū mujhe chāhe magar tujh ko zamāna chāhe
kabhī iz.hār-e-mohabbat kabhī shikvoñ ke liye
tujh se milne kā koī roz bahānā chāhe
jis ko chhūne se mirā jism sulag uTThā thā
dil phir ik baar usī chhāñv meñ jaanā chāhe
us ke jazbāt se yuuñ khel rahā huuñ 'sāġhar'
jaise paanī meñ koī aag lagānā chāhe