aisī nahīñ hai baat ki qad apne ghaT ga.e
chādar ko apnī dekh ke ham ḳhud simaT ga.e
jab haath meñ qalam thā to alfāz hī na the
ab lafz mil ga.e to mire haath kaT ga.e
sandal kā maiñ daraḳht nahīñ thā to kis liye
jitne the ġham ke naag mujhī se lipaT ga.e
baiThe the jab to saare parinde the saath saath
uḌte hī shāḳh se ka.ī samtoñ meñ baT ga.e
ab ham ko shafqatoñ kī ghanī chhāñv kyā mile
jitne the sāya-dār shajar saare kaT ga.e
'sāġhar' kisī ko dekh ke hañsnā paḌā mujhe
duniyā samajh rahī hai mire din palaT ga.e