Haleem Husain Zaidi

aazadi ka manzar achchha lagta hai

Haleem Husain Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1973
āzādī kā manzar achchhā lagtā hai
shīsh mahal se chhappar achchhā lagtā hai
taaj amīr-e-shahr mubārak ho tujh ko
dīvānoñ ko patthar achchhā lagtā hai
bachpan kab kā biit chukā phir bhī mujh ko
maañ ke haath kā bistar achchhā lagtā hai
mere lahū ko paanī kī ab chaah kahāñ
ḳhushk gale par ḳhanjar achchhā lagtā hai
terī yaad kā chāñd nikaltā hai jis dam
mujh ko akele shab bhar achchhā lagtā hai
apnoñ meñ tanhā.ī kā ab ehsās na pūchh
ghar vāloñ se be-ghar achchhā lagtā hai
kaun hai kis pe nazr kareñ ham sar apnā
ham ko terā sañg-e-dar achchhā lagtā hai
apnī zaat ke andar kab tak qaid rahūñ
mujh ko ḳhud se bāhar achchhā lagtā hai
maañ ke haath ke bhaat ke lazzat mat pūchho
saath meñ us ke kañkar achchhā lagtā hai
himmat hai to dushman se bhī pyaar karo
yuuñ to sab ko dilbar achchhā lagtā hai
jab bhī namāz-e-fazr adā kar lete haiñ
qasam ḳhudā kī din bhar achchhā lagtā hai
varna pyaas hī dil ko bahlātī hai 'halīm'
tere naam kā sāġhar achchhā lagtā hai
Top Urdushayar.com