Mohammad Faizaan Qadir

kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai

Mohammad Faizaan Qadir

kis jagah jaatā hai aur kaun se dar jaatā hai
tere dar se jo palaT aa.e kidhar jaatā hai
manzar-e-ām pe aatā hai to Dar jaatā hai
ashk merā mire andar hī bikhar jaatā hai
kyā huā chhoḌ ki har baar agar jaatā hai
do ghaḌī mujh se magar baat to kar jaatā hai
aaj vo zaḳhm kī tāsīr se tar jaatā hai
vo jo kahtā thā miyāñ zaḳhm hai bhar jaatā hai
kis kī yādoñ ke diye zaḳhm mujhe chubhte haiñ
kaun hai jo mirī āñkhoñ meñ Thahar jaatā hai
aadmī dil meñ utar jaa.e to zinda hai magar
aadmī dil se utar jaa.e to mar jaatā hai
kis kā ḳhuuñ hai ki ye miTTī bhī taḌapne lagī hai
nok-e-neza pe ye kis mard kā sar jaatā hai
Top Urdushayar.com