Shakeel Jazib

kaT na pae ye fasle bhi agar

Shakeel Jazib

Islamabad, Pakistan

1974
kaT na paa.e ye fāsle bhī agar
aur us par ye rābte bhī agar
jo tumhārī taraf nahīñ khulte
band nikle vo rāste bhī agar
ḳhair ho terī be-niyāzī kī
ab nahīñ ḳhud-parast the bhī agar
kyā kareñge sivā.e ḳhvāhish ke
mohlat-e-yak-nafs mile bhī agar
umr bhar ke ziyāñ kā mol nahīñ
chand lamhe churā liye bhī agar
ḳhūñ-bahā kaun degā jazboñ kā
ba.ad marne ke jī uThe bhī agar
kaun samjhegā isti.āroñ ko
kuchh na boleñge hāshiye bhī agar
Top Urdushayar.com