Shakeel Jazib

juz-nihaal-e-arzu sine mein kya rakhta hun main

Shakeel Jazib

Islamabad, Pakistan

1974
juz nihāl-e-ārzū siine meñ kyā rakhtā huuñ maiñ
koī bhī mausam ho ye paudā harā rakhtā huuñ maiñ
varna kyā bandhan hai ham meñ kaun sī zanjīr hai
bas yūñhī tujh par mirī jaañ maan sā rakhtā huuñ maiñ
kār-e-duniyā ko bhī kār-e-ishq meñ shāmil samajh
is liye ai zindagī terī pata rakhtā huuñ maiñ
maiñ kisī mushkil meñ tujh ko dekh saktā huuñ bhalā
dil-girafta kis liye hai dil baḌā rakhtā huuñ maiñ
be-niyāzī ḳhū sahī terī magar ye dhyān rakh
lauT jaane kā abhī ik rāsta rakhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com