Shakeel Jazib

nigah o dil ke tamam rishte faza-e-alam se kaT gae hain

Shakeel Jazib

Islamabad, Pakistan

1974
nigāh o dil ke tamām rishte fazā-e-ālam se kaT ga.e haiñ
judā.iyoñ ke azaab mausam bisāt-e-hastī ulaT ga.e haiñ
vo jis kī yādoñ se shā.erī kā har ek misra sajāyā ham ne
kitāb-e-jāñ ke tamām safhe usī ke hāthoñ se phaT ga.e haiñ
yahāñ pe kuchh bhī nahīñ hai baaqī tū aks apnā talāsh mat kar
mirī nigāhoñ ke aa.ine ab ġhubār-e-furqat se aT ga.e haiñ
yahī asāsa the zindagī kā ye ḳhvāb hī the mirā sahārā
tire taġhāful ke sañg-rezo se kirchiyoñ meñ jo baT ga.e haiñ
ye mo.ajaza to nahīñ hai koī ḳhirāj hai apnī himmatoñ kā
ki apne raste meñ aane vaale tamām kohsār hiT ga.e haiñ
ḳhush aa gayā hai safar meñ jiinā isī liye to shakīl-'jāzib'
jahāñ se manzil qarīb dekhī vahīñ se vāpas palaT ga.e haiñ
Top Urdushayar.com