Shakeel Jazib

mujhko tere KHayal se wahshat kabhi na thi

Shakeel Jazib

Islamabad, Pakistan

1974
mujh ko tire ḳhayāl se vahshat kabhī na thī
is darja be-adab ye tabī.at kabhī na thī
had hai usī ke paas hai kirdār kī sanad
jis kī tamām shahr meñ izzat kabhī na thī
yaaro duā karo ye koī hādsa na ho
pahle yuuñ intizār meñ lazzat kabhī na thī
yā to jafā.eñ aap kī had se guzar ga.iiñ
yā phir hameñ sazāoñ kī aadat kabhī na thī
'jāzib' ġham-e-hayāt kī talḳhī zabāñ pe hai
varna hameñ jahāñ se shikāyat kabhī na thī
Top Urdushayar.com