gardish meñ zahr bhī hai musalsal lahū ke saath
martā bhī jā rahā huuñ maiñ apnī numū ke saath
jin mausamoñ meñ terī rifāqat thī nā-guzīr
tū ne ruteñ banā.ī haiñ vo bhī adū ke saath
mujh ko atā huā hai ye kaisā libās-e-zīst
baḌhte haiñ jis ke chaak barābar rafū ke saath
mujh ko vahī milā mujhe jis kī talab na thī
mashrūt kuchh nahīñ hai yahāñ aarzū ke saath
ab jām-e-jam se log yahāñ mutma.in nahīñ
'jāzib' guzar rahī hai shikasta subū ke saath