hāsil-e-umr hai jo ek kasak baaqī hai
merī sāñsoñ meñ abhī terī mahak baaqī hai
mujh se kyā chhīn sakā tū ki abhī tak mere
paañv ke nīche zamīñ sar pe falak baaqī hai
phir tujhe aur mujhe aur kahīñ jaanā hai
ham-safar saath to chal jitnī saḌak baaqī hai
ye koī kam to nahīñ dost judā ho kar bhī
apne lahje meñ shikāyat kī jhalak baaqī hai
is se behtar thā mujhe rāh-nashīnī kā yaqīñ
kaisī manzil hai pahuñchne pe bhī shak baaqī hai
terī har shaam sitāroñ se sajānā hai mujhe
jab tak āñkhoñ pe mirī ik bhī palak baaqī hai