jo tū nahīñ hai to lagtā hai ab ki tū kyā hai
tamām ālam-e-vahshat ye chaar sū kyā hai
kisī kī yaad meñ āñkheñ chhalaktī rahtī haiñ
to aur maslak-e-ushshāq meñ vuzū kyā hai
udaas kar gayā ye kaun masnad-e-gul ko
ye shor o shain hai kaisā ye hā-o-hū kyā hai
tire huzūr bhī apne hī mas.aloñ meñ rahe
samajh na paa.e ki āñkhoñ ke rū-ba-rū kyā hai
suḳhan-tarāz ho jab vo to aisā lagtā hai
diloñ pe nuur kī bārish hai guftugū kyā hai
har ek aañkh meñ aañsū har ek lab pe fuġhāñ
ye ek shor-e-qayāmat sā kū-ba-kū kyā hai