Fasih Akmal

ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
ġhubār-e-tañg-zehnī sūrat-e-ḳhanjar nikaltā hai
hamārī bastiyoñ se roz ik lashkar nikaltā hai
ḳhudā jaane kahāñ us kī rifāqat ho ga.ī zaḳhmī
ki shab meñ ik parinda chīḳhtā aksar nikaltā hai
matā-e-chashm-e-hairāñ ke sivā ab kuchh nahīñ baaqī
dil-e-ātish-girafta kā yahī jauhar nikaltā hai
lahū pī kar zamīñ jab bhī na.ī karvaT badaltī hai
kisī kā sar nikaltā hai kisī kā ghar nikaltā hai
hamārī fat.h ke andāz duniyā se nirāle haiñ
ki parcham kī jagah neze pe apnā sar nikaltā hai
hamāre shahr meñ kam-qāmatoñ kī bhiiḌ aisī hai
usī kā qatl ho jaatā hai jis kā sar nikaltā hai
nazar vāloñ se mat pūchho had-e-imkāñ kahāñ tak hai
kahīñ sūraj nikaltā hai kahīñ manzar nikaltā hai
agar jiine kī ḳhvāhish hai jabīñ sañg-āshnā rakhnā
ki har muḳhlis kī muTThī meñ yahāñ ḳhanjar nikaltā hai
Top Urdushayar.com