dekhiye hālāt ke jogī kā kab TuuTe sharāp
shāyad ab is ahd meñ us se na ho merā milāp
sāhib-e-imroz afsurda-mizāj o mushta.il
gardish-e-hālāt ko paimāna-e-fardā se naap
sāya-e-afkār meñ kāñTe sahī chhāñv to ho
zehn kī āġhosh se bāhar nikalnā ab hai paap
dil se zauq-e-jurm-e-mehnat kah rahā hai baar baar
ātish-e-ehsās ke sho.aloñ se bhī kuchh der taap
ā.īne ke sāmne aate hue Darte haiñ kyuuñ
ā.īna-sāzoñ kā unvān-e-tamannā jab haiñ aap
apnī sāñsoñ ko jalā de apne dil ko toḌ de
vaqt ke masrūf sādhū ke laboñ par hai ye jaap