Fasih Akmal

laTkai diwar pe kis ne hatim ki taswir

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
laTkā.ī dīvār pe kis ne hātim kī tasvīr
haath meñ TuuTe kaase thāme dauḌe aa.e faqīr
soch rahā hai der se be-chāra ik majma.a-bāz
shaam talak kuchh haath na aayā din bhar kī taqrīr
gaañv gaañv maañg rahe haiñ qismat kī ḳhairāt
jannat dozaḳh bechne vaale shahrī piir faqīr
bhūle-bisre lafz uchaT kar miTā ga.e mafhūm
din ko paḌhne baiThe jab bhī raat kī ham tahrīr
jaltī fikr kī zad par aa kar jhulseñ jo alfāz
aa.e un alfāz se kaise sheroñ meñ tāsīr
Top Urdushayar.com