kisī ke sāmne is tarah surḳh-rū hogī
nigāh ḳhūn-e-tamannā se bā-vazū hogī
ba-roz-e-hashr khaḌe hoñge munsifī ke liye
ḳhudā milā to muqābil se guftugū hogī
tamām umr ke zaḳhmoñ kā hai hisāb kitāb
hamārī fard-e-amal bhī lahū lahū hogī
qabā-e-zīst jo hai ḳhārzār-e-hastī meñ
vo kis ke sozan-e-tadbīr se rafū hogī
hamīñ pe ḳhatm haiñ jaur-o-sitam zamāne ke
hamāre baad use kis kī aarzū hogī