Fasih Akmal

chashm-e-hairat ko talluq ki faza tak le gaya

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
chashm-e-hairat ko ta.alluq kī fazā tak le gayā
koī ḳhvāboñ se mujhe dasht-e-balā tak le gayā
TūTtī parchhā.iyoñ ke shahr meñ tanhā huuñ ab
hādsoñ kā silsila ġham-āshnā tak le gayā
dhuup dīvāroñ pe chaḌh kar dekhtī hī rah ga.ī
kaun sūraj ko andheroñ kī guphā tak le gayā
umr bhar milne nahīñ detī haiñ ab to ranjisheñ
vaqt ham se ruuTh jaane kī adā tak le gayā
is qadar gahrī udāsī kā sabab khultā nahīñ
jaise hoñToñ se koī harf-e-duā tak le gayā
jaane kis ummīd par ik aarzū kā silsila
mujh se paiham duur hotī ik sadā tak le gayā
ḳhaak meñ milte hue barg-e-ḳhizāñ se pūchhiye
kaun shāḳhoñ se use ūñchī havā tak le gayā
Top Urdushayar.com