muztarib dil kī kahānī aur hai
koī lekin us kā saanī aur hai
us kī āñkheñ dekh kar ham par khulā
ye shu.ūr-e-hukmarānī aur hai
ye jo qātil haiñ unheñ kuchh mat kaho
is sitam kā koī baanī aur hai
umr bhar tum shā.irī karte raho
zaḳhm-e-dil kī tarjumānī aur hai
hausla TuuTe na rāh-e-shauq meñ
ġham kī aisī mezbānī aur hai
mudda.ā iz.hār se khultā nahīñ hai
ye zabān-e-be-zabānī aur hai
ā.īne ke sāmne baiThā hai kaun
aaj manzar par javānī aur hai