Fasih Akmal

munawwar jism-o-jaan hone lage hain

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
munavvar jism-o-jāñ hone lage haiñ
ki ham ḳhud par ayaañ hone lage haiñ
ba-zāhir to dikhā.ī de rahe haiñ
ba-bātin ham dhuāñ hone lage haiñ
jinheñ tārīḳh bhī likhte Daregī
vo hañgāme yahāñ hone lage haiñ
bahut se log kyuuñ jaane achānak
tabī.at par girāñ hone lage haiñ
fazā meñ murta.ish bhī be-asar bhī
ham āvāz-e-azāñ hone lage haiñ
siyāsī log ab chole badal kar
ḳhudā ke tarjumāñ hone lage haiñ
jo ham ko jaañ se baḌh kar chāhte the
nasīb-e-dushmanāñ hone lage haiñ
vo chiñgārī jo ain-e-mudda.ā hai
to ham shola-ba-jāñ hone lage haiñ
kabhī the nafā apnā aap ham bhī
magar ab to ziyāñ hone lage haiñ
azīyat-koshiyoñ kā faiz dekho
masā.il dāstāñ hone lage haiñ
bayāñ ham ko karegā vo kahāñ se
ki ham to ḳhud bayāñ hone lage haiñ
zarā aape meñ rakkho ḳhud ko 'akmal'
ki bachche ab javāñ hone lage haiñ
Top Urdushayar.com