jaḌoñ se sūkhtā tanhā shajar hai
mire andar bhī ik pyāsā shajar hai
hazāroñ āñdhiyāñ jhelī haiñ us ne
zamīñ thāme hue būḌhā shajar hai
pujārī jal chaḌhā kar jā rahe haiñ
nagar meñ dukh ke sukh-dātā shajar hai
musāfir aur parinde jānte haiñ
ki in ke vāste kyā kyā shajar hai
jo ho fursat to us ke paas baiTho
qalandar hai valī baabā shajar hai
zamīñ par pyaar to zinda hai is se
ham insānoñ se to achchhā shajar hai
hamāre shahr meñ 'akmal' abhī tak
mohabbat bāñTne vaalā shajar hai