Fasih Akmal

kitabon se na danish ki farawani se aaya hai

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
kitāboñ se na dānish kī farāvānī se aayā hai
salīqa zindagī kā dil kī nādānī se aayā hai
tum apne husn ke jalvoñ se kyuuñ sharmā.e jaate ho
ye ā.īna mirī āñkhoñ kī hairānī se aayā hai
ulajhnā ḳhud se rah rah kar nazar se guftugū karnā
ye andāz-e-suḳhan us ko nigahbānī se aayā hai
nadī hai mauj meñ apnī use is kī ḳhabar kyā hai
ki tishna-lab musāfir kis pareshānī se aayā hai
sitāroñ kī tarah alfāz kī zau baḌhtī jaatī hai
ġhazal meñ husn us chehre kī tābānī se aayā hai
Top Urdushayar.com