Fasih Akmal

uski diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
us kī dīvār pe manqūsh hai vo harf-e-vafā
jis kī ta.abīr ko ḳhvāboñ kā sahārā na milā
merī tanhā.ī se uktā ke tirā naam bhī kal
apne mustaqbil-e-tābāñ kī taraf lauT gayā
jab ḳhayālāt mirā saath nahīñ dete haiñ
dil meñ dar aatī hai chupke se vo mānūs sadā
aise ḳhush-rañg sarāboñ kā sahārā kab tak
muskurātā huuñ to detī hai tamannā ye sadā
maiñ ne chāhā thā na.ī sub.h kā sūraj ban jā.ūñ
duur tak dāman-e-shab aur bhī kuchh phail gayā
phir ḳhudā.ī meñ hai kyuuñ ghor añdheroñ ko sabāt
ham chalo maan ga.e ek tajallī hai ḳhudā
sher kahtā huuñ to 'akmal' mirā dil kahtā hai
fikr-e-āvāra pe alfāz kī chādar na chaḌhā
Top Urdushayar.com