zaḳhm ko phuul lahū ko jo hinā kahte haiñ
un ko shā.ir nahīñ shā.ir kā chachā kahte haiñ
ham to patlī sī chhaḌī bhī nahīñ kahte us ko
log aulād ko piirī kā asā kahte haiñ
sirf afsar use kahnā to koī baat nahīñ
ham to sāhab ko clerkoñ kā ḳhudā kahte haiñ
shādiyāñ apnī kiyā karte haiñ jo le ke talāq
un ko sab log gadā ibn-e-gadā kahte haiñ
us ko piite hī kiyā kartā huuñ meñ sair-e-falak
āsmānī use sab log bajā kahte haiñ
āḳhirash ho hī gayā shaiḳh se aur ham se milāp
vo bhatījā hameñ ham un ko chachā kahte haiñ
sun ke āvāz-e-azāñ mis ne ye pūchhā 'hāshim'
is qadar chīḳh ke masjid meñ ye kyā kahte haiñ