tū nahāne ghaaT par aayā to dariyā jal gayā
ātish-e-ruḳh se tire jo kuchh vahāñ thā jal gayā
kyā batā.ūñ apne maiñ soz-e-darūñ kā mājrā
thā pahanñe kā irāda hī ki kurtā jal gayā
ab to ġham-ḳhāne meñ apne ik chaTā.ī bhī nahīñ
aag is ghar ko lagī aisī ki jo thā jal gayā
merī āh-e-ātishīñ kī zad meñ shaiḳh aa hī ga.e
sirf dāḌhī bach ga.ī puurā amāma jal gayā
āftāb-e-hashr kī garmī bhī kitnī baḌh ga.ī
bach ga.e aasī farishtoñ kā navishta jal gayā
bazm-e-ḳhūbāñ meñ lagī aag āh-e-sozāñ se mirī
un kī saarī jal ga.ī un kā dupaTTā jal gayā
Thiik 'ġhālib' hī ke dil kī tarah thā 'hāshim' kā dil
dekh kar tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā