yuuñ to dushvār hai chhoTe kā baḌā ho jaanā
har bhatīje kī hai me.arāj chachā ho jaanā
hosh to hosh lañgoTī bhī ga.ī majnūñ kī
kitnā mahñgā paḌā lailā pe fidā ho jaanā
kam se kam vo sar-e-bāzār to uchhle kore
le ke pagḌī sar-e-vā.iz se havā ho jaanā
ham ne dekhā hai inhīñ āñkhoñ se kuchh bandoñ kā
chaḌh ke kursī-e-vazārat pe ḳhudā ho jaanā
yaad aatā hai to aatī hai raqīboñ pe hañsī
dekhte hī mujhe vo un kā havā ho jaanā
ye to hai zo.af-e-masāna kī dalīl ai vaa.iz
har sahar terī namāzoñ kā qazā ho jaanā
un kī bhābhī ne buḌhāpe meñ diyā hai bachcha
ab musallam huā 'hāshim' kā chachā ho jaanā