ḳhuld meñ bhī hasb-e-ādat va.az farmā.eñge kyā
shaiḳh hūroñ se hajāmat apnī banvā.eñge kyā
vaañ dharā hī kyā hai Tiile aur pahāḌoñ ke sivā
rockitoñ par uḌne vaale chāñd par pā.eñge kyā
dekhte hī resha-ḳhatmī ho rahe haiñ piir jī
us murīdan se bhī apnā aqd paḌhvā.eñge kyā
pūchh baiThe gar kahīñ dhotī pahanñe kā sabab
koī ham ko ye to batlāo ki batlā.eñge kyā
bhaa.ī sāhab ek hī kā bojh sar par kam nahīñ
dūsrī ik aur aafat apne sar lā.eñge kyā
ḳhuld meñ bhī ho nahīñ saktā hai 'hāshim' kā nibāh
un ko ġham khāne kī aadat hai vahāñ khā.eñge kyā