aaj kal bhes meñ leader ke hai shaitāñ samjhā
magar is bhed ko hindū na musalmāñ samjhā
pairahan jism ke ham-rañg thā us ke itnā
koī malbūs use samjhā koī uryāñ samjhā
gar yahī qadr-e-suḳhan hai to suḳhan par la.anat
ek qavvāl ko tū shā.ir-e-daurāñ samjhā
ban ke mehmāñ jo gayā ho gayā juutā ġhā.eb
mezbānī ke na is raaz ko mehmāñ samjhā
jab hī us shoḳh ne pūchhā ki taḳhallus kyā hai
dekh kar shakl mirī mujh ko ġhazal-ḳhvāñ samjhā
baap thā us kā khaḌā dar pe magar ḳhair huī
ya.anī vo mujh ko gadā maiñ use darbāñ samjhā
us ke āñchal meñ ghusā thā koī jugnū 'hāshim'
aur maiñ us ko charāġh-e-tah-e-dāmāñ samjhā