yuuñ to haajī bhī thā mullā bhī thā vo piir bhī thā
misal-e-sā.īs magar terā ināñ-gīr bhī thā
saiñkaḌoñ tarah kī chīzeñ thiiñ dinner meñ lekin
ye to farmā.eñ vahāñ qīma-e-ḳhinzīr bhī thā
yuuñ to mizhgāñ ke kaTāroñ se musallah the sabhī
māh-vash un meñ koī dast-ba-shamshīr bhī thā
merī hī aañkh kā tinkā nazar aayā sab ko
varna kuchh logoñ kī āñkhoñ meñ to shahtīr bhī thā
paḌh ke collage meñ bhī masjid kī imāmat hī milī
is meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbī-e-taqdīr bhī thā
na huā hāshim-e-ayyār ke dil meñ sūrāḳh
ai shikārī tire tarkash meñ koī tiir bhī thā